Definition of DNS in hindi

What is the definition of Domain Name System (DNS) in hindi

History of Domain name system (DNS) in hindi  : 

DNS ka avishkar  1983 me TCP/IP ke baad huaa tha. Jon postel  (जॉन पोस्टेल) ke kahane per  paul mockapetris  (पॉल मोकापेट्रिस) ne 1983 me pahali baar DNS pranali ka avishkar kiya tha.

Definition of DNS in Hindi :

DNS ka full form Domain Name System he. DNS ka kaam Domain Name ko IP Address or IP address ko domain name me convert karne ka he. Jab hum kisi domain name ya Website ko web browser me open karte he to ye DNS usko IP me convert kar deta he. Ye convert is liye karta he ki hum Ip address ki tualna me Alphanumeric name easily yaad rakha sake. Kyo ki sabhi domain ya website ek singal Ip address per chalti he. Yadi DNS nahi hota to hume apna domain name ya website ki jagah per IP address ko yaad rakhana padta. Yadi apni website open karni padti to aap ko 192.168.1.16 web browser me dalkar open karna padta. Is puri duniya me jitni bhi website he un sabhi ok aap ko IP Address se open karna padta kya aap in IP address ko yaad rakha pate nahi na. Is ko saral karne ke liye Domain name System ka avishkar huaa. kyu ki DNS IP address ko Name me convert kar deta he or name ko hum easily yaad rakha sakte he.

dns

Benefits of DNS : 

  1. IP address ko yaad rakhane ki jagah per aap ko naam yaad rakhana easily ho gya.
  2. Sab se bada benefits IP address ko Save karke rakhana. Ab aap confused ho gye ki IP address ko save kese karta he. Example : Har ek website ko run karne ke liye ek IP ki requirement hoti he. Is world me jitni bhi website chal rahi he wo bhi kisi na kisi IP address per chal rahi he. Yadi hum world me jitni bhi website he un sabhi ko alg alg IP address de dete to abhi tak saare IP Finish ho jate. Kyu ki abhi world me IP address ki sankhaya bhi limit he. Is IP address ki sankhaya ko bachane ke liye DNS ka kafi upyog he. Kyu ki ek IP address ke uper hum unlimited website chala sakte he wo sirf is DNS yani domain name system ke karan. Example : ek web server per ek Ip address configure karne ke baad aap DNS configure karke usper multiple website host kar sate he.

Note : 

Ajj aap jitani bhi website online internet per dekhate he. Wo kisi na kisi server per host ya uploaded he. Ye jitani bhi website chalti he wo us server ke DNS yani Domain Name System se chalti he.