How to change user name and password for Windows

Hello friends

Aap ke system ke User ka password kese change kare wo process me aap ko  bataunga. Hamesa yaad rakhiye ga ki aap ke system ki security aap ke system ke User ka password hi he. Kyu ki aap ke system me login hone ka wohi ek jariya he. Ek baat or aap Dhyan me rakhe ki Aap apne system ka password normal mat rakhe jese – 12345. Abcs, ya aap ka naam . Aap hamesa apne system ka strong password  rakhe jese – Apan@@135#$, !fca@@134$,.

 

Windows Xp , Windows 7, Windows 8, Windows 10, sabhi OS ka User password change karne ka tarika ek jesa  he.

Step -1 :  Sabse pahale aap My Computer per Mouse se right click kijiye. Right click karne ke baad aap ko Manage option per click karna he .Jisse Computer Management ki ek windows open hogi.

 

Step-2 :  Computer Management ke ander aap ko Local User and Group option per click karna he jiske undar User or Group ke do option honge.

 

Step-3 : Jab aap User option ko open karenge to usme aap ke system ke saare user show hoge.

 

Step-4 : App ko apne User per Mouse se right click karna he . Usme aap ko Set Password ka option milega.Waha se aap apna System ke user ka password change kar sakte he.

FCA_User_Password_Change_Process

How To Create New User of Your System :

Step -5 : Yadi aap apne system ka new user banana  Chahate he to bhi aap bana sakte he . Uper Step-2 me aap ko User or Group ke do option per jana he. Waha aap ko User option per Mouse se right click karna he . Waha aap ko New User ka ek option show hoga. Waha se aap apne system ka new user name or password bana sakte he.

FCA_User_Password_Change_Create

 

How to Change or Rename Your Computer Name in Windows ?

Keyboard short cuts key ka windows operating system me kamal ?

You may also like...