Hello Friends
Keyboard short cuts key ka windows operating system me kamal
Keyboard ke short cuts ka kese use kare windows ke operating system me jisse aap ka kaam fast or easy ho jaye or aap ko baar baar mouse ki jarurat bhi nahi pade.
Alt + Tab
Yadi windows me aap ki multiple application open he. Aap ko ek application se dusari application per jana he to aap Alt ke saath Tab ka use kar Sakte he.
Alt + Double Click Mouse
Yadi aap ki kisi Application, Folder , File, Exe file ki properties open karni he to aap ko Alt ke saath Mouse se double click karna hoga. Jisse uski properties open ho jayegi.
Alt + Print Screen / Fn + Alt + Prt Sc
Windows ki koi bhi open Application ka Screen Short lena he to aap Alt ke saath prt sc key ka use karnge. Isse open Application ka hi screen short aayega puri windows ka nahi. Yadi kabhi Alt + Prt Sc se screen short nahi aaye to aap Fn + Alt + Prt Sc thino key ko dabaye is se aap ka screen short aa jayega.
Ctrl + Shift + Esc
Yadi aap ko Task Manager open karna he to aap ko Ctrl, Shift , and Esc thino key ko ek saath press karna hoga.
How to Download YouTube Video ?
Alt + Enter
Yadi aap ki kisi Application Folder , File, Exe file ki Properties open karni he to aap pahale usko select karle uske baad Alt ke saath Enter dabaye. Jisse uski properties open ho jayegi.
Ctrl + Esc
Yadi aap ko windows ka Start Menu open karna he to aap Ctrl ke saath Esc press kijiye.