How to Check System Configuration in Windows

Hello Friends

Me aap ko aap ke system ka configuration kese check karna he wo process aap ko bataunga.Aap ne yadi koi ek computer purchase kiya ho ya aap ko purchase karna he. to aap ko check karna he ki is Computer ka Processor kya he , wo kitne Ghz (gigahertz) ka he , iske ander Ram kitne GB ki he.iska OS kitne bit ka he .OS konsa he, ye sab aap check kar sakte he.

Step -1 : My Computer per Mouse se right click karke uski Properties per click kijiye.

My Computer

Step -2 : Properties per click karne per ek new windows open hogi. Us windows ke upper aap ko system ki configuration ki information milegi.

 

Step-3 : Configuration ke ander aap ye check kar sakte he aap ka Operating System konsa he, Aap ke system me Ram Kitni GB ki lagi huyi he, or Processor konsa he. Niche di huyi image ko check kijiye isse aap ko Anuman lag jayega.

 

Computer Information

 

Step – 4 : Yadi aap ko or detail me Configuration Check karna he aap ko Start –> Run Command per Jaker waha per aap ko type karna hoga Msinfo32 isse ek new windows open hogi us window  me computer ki saari information mil jayegi.

 

How to Windows computer shutdown scheduler set ?

You may also like...